Skip to main content

Posts

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a
Recent posts

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur

DIWALI CELEBRATION AND IMPORTANCE.

DIWALI CELEBRATIONS:        Diwali ek aisa tyohar hain jise pure hindustan me dhum dham se manate hain, Ye tyohar diye, roshani ke sath manaya jata hain. Diwali ko hinduwon ke sare tyoharon me se bahot bada tyohar mana jata hain. Diwali ko "Andere ke upar ujale ki jeet hain, burayi par achhayi ki jeet hain aur agyaan par gyan ka pratik mana jata hain. Diwali ko 5 din ke liye manaya jata hain. 5 din tak wo bhi adyatmik bhav se diwali manate hain. Har din ka hek mahtwa hain use manane ke piche aur use utne hi mahatwapoornata se manate hain.   DHANTERAS/DHANTRAYODASHI:    Dhanteras ko dhantrayodashi bhi kaha jata hain, ise diwali ke parv ka pehla din mana jata hain. Iss din me jyada tar karke sona lkharidate hain, sona karidane ke liye aaj ka din bahot hi shubh mana jata hain. Dhanteras ke din aur Akshay Tratiya din ko agar sona kharidane ki parampara ko dhan, samruddi, sampatti aur laxmi maa ko ghar ko amantrit karne ke barabar mana jata hain. Na sirf sona balki har tarike ke naye v

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHIKSHAK KA MAHATWA, TEACHER'S IMPORTANCE| SHIKSHAN KA MAHATWA, EDUCATION IMPORTANCE

     SHIKSHAK KA MAHATWA| TEACHER'S IMPORTANCE    Shikshak, iss shabd ke liye bahot sare paryayvachi shabd hain par matalab sirf ek hi hain. "Guru" jo hume gyan dete hain, jo hume vidya ka pat padate hain jo hume, mitti se ek murti banate hain. Shikshak sirf shiksha nahi dete use kaise apne jeevan me amal karna hain wo bhi sikhate hain. Shikshak humare jindagi ke liye ek varadan hain jiske bina hum sabki jindagi adhuri hain.        Shikshak ka koi mol nahi hota, na unki di huyi shiksha ka mol hota hain. Ek achha guru hume sirf pustaki path nahi dete, jo hume duniya ki achhayi aur burayi ka gyan de, jo hume har mushkil ko samana karne ka sikh de, apni prapth ki huyi shiksha ko samajadari ke sath kaise upayog karte hain wo sikhate hain. Hum sabko ek baat humesha yaad rakhni chahiye jitni mehnat vidyarti padayi karne me karte hain utni hi mehnat shikshak padane me karte hain. Duniya ke har badlav ko samajana hota hain aur sath me use vidyarthi ko sikhana hota hain. Shikshak

NAVARATRI SPECIALS| HAPPY DUSSEHRA| VIJAYDASHAMI|

        Navaratri 9 dino tak mananewala pavitra aur dharmik tyohar hain. 9 din durga devi ke naam ka upavas karte hain, unka aaradhana karte hain, Pure dharmik vatavaran me mugda ho jate hain. Navaratri/Dussehra/Vijayadashami aise har rajya aur prant me alag alag tarike se manate hain.             Humare puran aur bujurgon ke hisab se pahle ke 3 din sabke ghar me aur har madiron me durga mata ki pooja aur aaradhana karte hain.            Baad ke 4,5 aur 6 ve din me lakshmi devi ji ka aaradhan aur pooja karte hain, tha ki dhan, sampatti aur samruddhi ka vaas humesha hum sabke sath apne ghar pe rahe.             Aakhir ke 7,8 aur 9 din me devi saraswati ka aaradhana aur pooja karte hain, tha ki sabke jeevan me vidya aur buddhi ki jarurat hain jo ki jeevan me saphalata paane ke liye bnahot hi jaruri hain.    Dussehra In South India- दक्षिण भारत में दशहरा        jaise maine kaha tha ki humare desh me har jagah, prant me alag alag tarike se dussehra manatae hain to jaha pe mera stayi sthan

RAPE CASES| LADKIYON KI RAKSHA| HATHRAS RAPE CASE|

        Kya likhu main, kya bayan karu main, e kahun ki ladkiya usi desh me surakshit nahi uss desh ko bharatmata ke rup me dekha jata hain, ya e kahun ki inn darindo ki vajah se ladkiyon ki astitwa mithane lagi hain, sapne mithane lage hain to ijjat ko khule aam uchala ja raha hain. E kyu huwa ya kyun ho raha hain kisi ke pas bhi jawab nahi hain.       Jo bhi unn ladkiyon ke baare me soch raha hain ya dekh rha hain, aap sab log soch rahe ho unn par kya biti hogi wo kya feel kar rahe honge. Ladki Hun muje puchon aur wo sari ladkiyan apne aap me jake dekho ki kabhi mehsus kiya hoga ki koyi gandi najar se dekhta bhi hain to lagta hain ki humara astitwa hi nahi hain, koi gandi tarike chuta bhi hain to lagta hain ki jan nikal gayi hain. Jab gandi najar aur chune se humari halat karab hoti hain to balatkar pe kya ho sakta hain. Rape ka nam sunate hi ladkiyonki ruh kapati hain, unki sanse rukh jati hain.  Un darindo ke do minute ke maje ke liye humari zindagi kyu katam ho hati hain, kisi ke