Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.
Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.
TAARAK MEHTA:
Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur pure gokuldham society ke samajadar insaaan hain. Bahot hi shant swabhav ke har chijon ko har gathana ko sakaratmakata ke tarike se lenewali hain hasti hain. Uss kiradar me ek chij ko bahot hi achhe se pradarshan kiya hain.
Ek kavi aur lekhak ki soch kaise honi chahiye, kis disha me apni creativity ko daudata hain, har ghatana pe apne observation se ek lekh kaise likhate hain use darshaya gaya hain. Uss kiradar ko bahot hi kushal aur sakaratmak tarike se sochanewale lekhak mahashay hain. Par inn mahashay ke jindagi me har ek khushi hain par khane ne dhoka de diya hain, khane ke shaukeen to ye bahot hain par inki dharmapatni inki tabyet aur vajan badane ke chakkar me inhe khane me humesha ghas-phus ke nam pe diet food khilati hain. Jindagi har choti-choti baton me khushui dundanewale ye kavi iss chij me bahot hi jyada dukhi hain, par patni ke pyar me sab kuch kha lete hain par mauka milte hi chowka nahi side chakka mar lete hain.. Arhe..! Ball ki chakke ki bat nahi kar rahi hun.
Jaise hi unki patni kahi bahar nikal gayi to e masaledar, chatakedar khana khane ki chakke ki baarish kar dete hain par unki takdeer aisi hain ki kitna bhi chupa lo Anjali Mehta ko pata hi chal jata hain aur apne kavita se unhe mana lete hain aur ye silsila inka chalata hi rehta hain.
Iss shant,samajadar,sulaje huye vyakti ke bare me to hum bahot kuch janate hain. Hum har din apne television me unke darshan karte hain aur bahot hi jyada pasand bhi karta hain. Abhi hum log Tarak mehta ke kiradar ke baare me jan liya to unke piche chupe huye shailesh lodha ko janate hain ki wo apne asli jindagi me kaise hain unka reel life aur real life me kuch samanata hain ki nahi.
SHAILESH LODHA:
Shailesh lodha asal me apne jeevan me bhi kavi hain, lekhak hain. Unhone interviews me kaha hain ki unhone kabhi socha nahi tha ki wo acting kar payenge, chote si jagah se bade huye hain vahi pe padayi huyi to unke dimag me kabhi acting ka socha nahi par kismat apna rasta dund leti hain aur aaj unka nam hindustan ke itne badi kaviyon me liya jata, unko itna pyar mil raha hain.
Ek bar unhe pucha gaya ki wo kavi kaise bane to unhone kaha ki wo shok leke hi paida huye the. Jab wo 5-6baras ke the tabhi se unhone tukabandi karna shuru kiya tha, jaise ek bachha likhta hain. Uss jamane me hi shailesh ji ki dosti books aur magazines se ho gayi thi. Unhone tab se hi padana shuru kiya tha.
Jab unke gharwalon ko pata chala ki unko kavita likne ka padane ka shok hain to unke papa ne unko support kiya aur unko kavi sammelan me leke gaye aur kavita likne aur padane ke liye badava diya hain. Jab wo kavi sammelan pahunche aur jab unhone apne kavita sunayi to unn thaliyon se wo bahar nahi aaye aur tab se unhone bahot sare kavi sammelan kiya khub kavitayen padi aur unko prasiddhi bhi bahot jyada mili aur aaj bhi mil rahi hain.
Uss prasiddhi ki baad unhone debate me national champion the, wo school aur college ke jamane se hi bhashan dena shuru kar diya. Par, jab kavi sammelan ki vajah se unko itna sara pyar mila ki television me samane se hi bulaya gaya. Jab bhi wo kavi aur kavithawon ke baare me bolte hain to unko khushi milti hain, unka kehna tha ki uss umar me itna utsah tha ki ek hi din me 9-10 kavithayen aise hi likh dete the.
Jab wo 12-13 saal ke the tab unki kavitha aisi thi, "Hum ek shabd hain to wo puri bhasha hain, Hum kunthit hain to wo abhilasha hain". Unko tabhi se hi hindi aur urdu se itna pyar tha to unko achha lagata tha. Uss time unke ghar me na koi lekhak tha, na koi kavi unke maata-pita sarkari naukari karte the par unki maa ki padane ki ruchi ki vajah se unko padane ki ruchi lagi aur unka kehana ye bhi tha ki unke pita ka sense of hour itna achha hain ki gar wo iss kshetra me hote to inse kahi jyada prasiddha hote.
Waise to iss jamane me har actor har insan social media pe hain social media pe apne jindagi ke kisson ko apne logo ke sath share karta hain, har waqt mobile pe rehate hain par shailesh lodha sir ko bilkul achha nahi lagata ki bachhe ho ya aur koi bhi mobile ko apna jeevan banaye. Unka kehana hain ki bachhon ke hatho se mobile leke unke hath me kitabe de tha ki unka bhavishya ujwal ho jaye. Unka kitabon ke liye pyar hi shayad aaj bhi unko jameen se juda huwa insan bana huwa rakha hain.
Inke personal life me inki patni Dr.Swati lodha ko wo itna samman dete hain aur unka kehana ye hain ki apne patni se unhone bahot kuch sikha huwa hain.
Inki soch aur kavithavon ko ek bar padiye ya suniye tha ki aapko bhi pata chale kitabe padana kitna jaruri hain.
Follow us on instagram: https://rb.gy/lq2ytc
Follow us on Facebook: https://rb.gy/wenhol
Find us on youtube: https://rb.gy/8xsxg9
กลิ่นกาย
ReplyDelete.
Very nice and interesting article. Thanks for sharing valuable content. Also check my website Mr Jethalaal
ReplyDelete