DIWALI CELEBRATIONS:
Diwali ek aisa tyohar hain jise pure hindustan me dhum dham se manate hain, Ye tyohar diye, roshani ke sath manaya jata hain. Diwali ko hinduwon ke sare tyoharon me se bahot bada tyohar mana jata hain. Diwali ko "Andere ke upar ujale ki jeet hain, burayi par achhayi ki jeet hain aur agyaan par gyan ka pratik mana jata hain. Diwali ko 5 din ke liye manaya jata hain. 5 din tak wo bhi adyatmik bhav se diwali manate hain. Har din ka hek mahtwa hain use manane ke piche aur use utne hi mahatwapoornata se manate hain.
DHANTERAS/DHANTRAYODASHI:
Dhanteras ko dhantrayodashi bhi kaha jata hain, ise diwali ke parv ka pehla din mana jata hain. Iss din me jyada tar karke sona lkharidate hain, sona karidane ke liye aaj ka din bahot hi shubh mana jata hain. Dhanteras ke din aur Akshay Tratiya din ko agar sona kharidane ki parampara ko dhan, samruddi, sampatti aur laxmi maa ko ghar ko amantrit karne ke barabar mana jata hain. Na sirf sona balki har tarike ke naye vastu jaise ghar ke electronics ke items, cars, bikes aur bahot sara sadhano ko iss din kharidate hain. Ajj ke din Jhadu (BROOM) ko kharidate hain, ise kharidana shubh mana jata hain.
NARAK CHATURDASHI, MAHALAXMI POOJA:
Narak chaturdashi matlab iss din ko mahalaxmi ka poojan karte hain, mahalaxmi pooja karne ke piche ek kahani hain. humare purane grantho ke hisab se Samudra manthan ke baad jo ratna nikale the usme se ek laxmi deviji bhi the, jaise hi laxmi maa pani se baahar nikale to saare log unhe paane ke liye padapadi kar rahe the bahot hi aatur the. Aisa kehana hain ki pahle sant logo ne unhe manane koshish ki wo unke paas chale jaaye par laxmi maa ne unhe naa bolte huye ye keh diya ki, sant logo me ek tarah ka satwik ahankar hota hain aur jaha pe ahankar hota hain wha pe laxmi ji nahi reh sakti. Uske baad devatawon ne unhe manane ki koshish ki wo unke sath unke paas chale jaye par laxmi ji ne unko bhi mana kar diya aur kaha ki, devatawon ke paas sirf punya hota hain aur main sirf punyashaliyon ke paas bhi nahi reh sakti. Laxmi ji ne ye kaha ki wo unke sath rehana chahati thi jo parishram, punya aur purusharth ka sangam hoga isliye laxmi ji vishnu bagwan ke sath jake bas gayi.
Diwali ke sham ko laxmi ji pratvi ka braman karti hain, isliye hum log uss pavan divas pe humare ghar ko sajate hain, diye jalate hain, ghar ko swachha rakh ke saare kidaki aur darwaja kholke unka aagaman karte hain tha ki wo humare ghar padare aur hume apna aashirvad de, jisase humare ghar me dhan, sampatti aur samruddi humesha rahe. Isi kaaran ke liye hum log diwali ke avasar pe laxmi ji ko apne ghar ko amantrit karte hain aur pooja karte hain.
DIWALI:
Diwali ka tisara din kartik me amavasya ko manaya jata hain, Bharat me kahi kshetron me iss din ko bahot mahatwapurna manate hain aur kahi kshetron me iss din ko saal ka akhari din mana jata hain. Isi din bagwan ram ne sita ji ko ravan ke changul se bachake lambe vanavas ke baad vapas leke aaye the. Uski jeet ka jashna manane ke liye pure ghar ko mombattiyon se roshan kiya gaya tha, to tab se aaj tak hum sab log iss din me ghar me ghar ke aangan me rangoliya banate hain diye jalake ghar mohalle ko roshan kar dete hain, tarah tarah ke patake jalate hain.
DIWALI PADWA:
Diwali ka chouta din hain aur vikram samvat ke calender ke hisab se naye saal ki shuruwat. Iss din ko naye sal ki shuruwat ki rup se manaya jata hain, bahot jagah pe bahot alag tarike se iss din ko manaya jata hain jaise balipadyami, patipada, annakut, govadrana pooja aur diwali ka padwa. Iss din ghar me sab log subah jaldi uth jate hain achhe se tayyar ho jate hain, log mandir jate hain, bhagwan ka aashirwad lete hain uske baad bade logo ka aashirwad lete hain bahot sare mithayiya khate hain, mithayi batate hain, Apne logo se milte hain mithayi dete hain lete hain. Aur specially ghar me jo puran poli banati hain uska maja kuch aur hi hota hain.
BHAI DUJ:
Bhai duj ya Bhau bhij kisko nahi pasand hain diwali ka aakhir ka din aur tyohar aur bhai behen ke liye bahot hi khas aur bhavuk wala tyohar.
Jaha pe hum log yamaraj ji se darte hain unka nam lene se bhi katarate hain wo surya narayan ji ke santan the, aur ye bahi duj ki kahani unhi se judi huyi hain. Bhai duj ka tyohar har behen aur bhai ke liye bahot khas hota hain, use yam dwitiya bhi kehate hain. Surya Bhagwan ke 2 santan the Yamuna ji aur yamaraj ji aur bhai behen me bahot pyar tha, Yamuna ji humesha yamaraj ji ko khane pe bulati thi par yamaraj ji humesha talate the kyunki wo logo ke pran haran karte the isiliye wo kabhi nahi jate the, par Kartik shukla dwitiya ko behen ne bhai ko kasam dekar khane pe bula liya aur yamaraj ji kasam baddha the to unko jana pada unko apne ghar pe dekhakar yamuna ji bahot hi khush ho gaye. Yamaraj ji behen ke ghar bhojan ke liye jane se pahle narak ke saare jeeviyon ko bahar nikal diya.
Yamuna ji ne isi ke chalte yamaraj ji se 2 var mang liye, pehla var ye tha ki har saal yamaraj ji ko unke ghar khana khane aana padega aur dusara var ye tha ki jo behen apne bhai ko iss din aadar satkar karke iss din khana khilayegi usko kabhi bhi yamaraj ji ka dar kabhi na rahega aur yamaraj ji tatastu kahke yamalok ke liye nikal gaye Aur tab se aaj ke din ko bhai duj manaya jata hain.
Diwali 2020, iss saal ki diwali shayad kuch alag hoga, manane ka tarika kuch alag hoga, logo se milne ka tarika alag hoga par khushi aur adyatmikata ka bhav wahi hoga wo kabhi na badalega. Ye diwali sabke jeevan me khushi aur samruddhi de.
Wishing you all a very happy and safe diwali.
Follow us on instagram:https://rb.gy/lq2ytc
Follow us on Facebook:https://rb.gy/wenhol
Find us on youtube: https://rb.gy/8xsxg9
davidchendds
ReplyDelete.
Very nice and interesting article. Thanks for sharing valuable content. Also check my website Mr Jethalaal
ReplyDelete