Champakalal Jayantilal Gada:
Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.
Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.
Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo apne bete ko dantate jarur hain par uss dant me pyar aur parawa jyada hoti hain, wo apne bete ko aaj bhi shist aur shistachar ke sikhane ka margdarshan dete hain jaise ki jaldi se utna, apne sehat ka dyan rakhana, khane pe control karna, kam ke prati aalas na dikhana ya har bure waqt me apne bete ke piche dhal banake khade rehana, dusaro ko apna banana, dusro ke prati samman se pesh aana shayad hi kahi aur dekhane mil sakta hain. Wo humare rastrapita mahatma gandhi ji ke raste par chalte hain, kisi ka bura na karna, har insan ka bhala karna har kisi ke liye achha sochana apne desh ke prati apni jimmedari ka ehsaas karwaana aur har galat chij pe aawaz uthana chahe wo apno ke liye ho ya apno ke samane sath ladake par har sachhayi aur achhayi me champak chachaji dikhate hain.
Unka uss society me har log samman karta hain unki kaha manata hain, unko palat jawab nahi milta ye sirf wo bujurg hain isiliye nahi karte wo unke har kahe ko jindagi me isiliye lane ki koshish karte hain kyunki Champak chachaji ki chijo ko, paristhiti ko aur logo ko dekhane ka aur parakane ka najara alag hain. Wo anubhavi to hain par sath me sulaje huye bhi hain. Chijo ko kiss tarah se rakhne par kya ho sambhavana ho sakti hain unhe andaja lagane ka suj buj hain unme isiliye waha pe koi inki baton ko katata nahi hain bal ki har ek member inse salah lete hain.
Champak chachaji ki jeevan shaili ne puri duniya ko dikha diya ki budhe hum log sharir se ho sakte hain par man se nahi. Unke rehana sehan ka tarika jindagi ke maje lene ka tarika sabse alag aur anoka hain. Unhone duniya bhar ki sanskriti ko apna bana liya, jat-pat-dhrama se upar uthake insaniyat ko mahatwa diya aur dusro ko bhi prerit kiya hain. Unhone ye darshaya ki gandhiji ki raste pe chalne pe sachhayi milti hain aur achhayi ka ehsaas hota hain, apne desh ko swachha banane se hi apna ghar sundar dikhata hain, khud aage chalke dosti ka hath thamoge tabhi dushmani mithati hain, Jarurat logo ki madat karoge tabhi khuda bhi aapki madat karega, agar dusro ke aansu pochoge to tabhi humare jholi me khushi aayegi. Inn sare chijon jab hum apni jindagi me dalte tab jindagi sundar lagati hain.
Champak chachaji aur Tappu ka rishta kisne nahi pasand kiya, unhone uss jamane ke vichaon ke sath aaj ke jamane ki bachho ko sikh aur sanskar di hain jo tappusena ke har bachhe me dikhata hain. Uss jamane aur aaj ke jamane me jamin aasamaan ka antar hain par apna iman apne vusul aur apne Siddhant aaj bhi wahi hone chahiye jo pahle the aur uss raste pe kaise chalana hain iske bare me unhone bachhon ko aaj ke samane ke hisab se hi sikhaya hai. Wo apne pote aur tappu sena ke sath itne chusth aur sahasik roop se rehate hain lagata nahi ki aisa rishta kahi aur dikh payega. E rishta anoka hain, e rishta dada pote ka hain, e rishta bharose ka hain, e rishta dosti ka hain, e rishta pradarshak hain. Jaha pe pota dadaji se jhoot lehane ki baton se hi piche hatata hain to wo wahi sanskar hain jo use mile hain.
Aaj ke iss tanav bari jindagi me log bhi machine ban gaye hai fir bhi apno ko jodake rakhne ka tarika hota hain bas hume apne soch aur najariyon ko badalna hoga. Jab hum apni jindagi jine ka chijon ko dekhne ka najariyan badalenge tabhi logo ko bhi uss najariyon ka matalab samaja layenge aur wo kam Tarak Mehta ka ooltah chashma ke show ne bina koi bhul chuk kiye nibhaya hain.
Chalo abhi to humne bahot sari bate karli Champak chachaji baare me jo apne parde par dikhate hain par unki asal jindagi me wo kaise hain kaise rehate hain aur unki jindagi ke baare me janenge.
Amit bhatt:
Amit bhatt ji, jinhe hum bapuji ke nam se jane jate hain wo apne asli jindagi me utne hi jameen se jude huye aur sadharan jindagi jeete hain iska ek uadaharan hain amit bhatt ji apna ghar ka interior designing khud ne kiya hain, apne ghar ke har ek chijon ko apne pasand ke hisab se sajayi hain. Unko apne ghar ko positivity aur ghar ka feeling hona chahiye to unhone apna ghar waise hi banaya hain jaise unko chahiye.
Amit Bhatt ji itne saphal hone ke baad bhi ek bat hairani ki hain ki unhone kabhi audition nahi diya hain, unko sab kam unke mehnat pe mil gaye hain. Unhone aise to apni jindagi me bahot sare kam kiye hain, bahot sare kiradar nibhaye hain par unko saphalata Champakalal ke kiradar se mili hain. Iss kiradar ke liye bhi amit ji ne koi audition nahi diya tha balki ye offer unko samane se mila tha. Jaise maine dilip joshi ji ke article me bataya tha ki unhone iss role ke liye amit ji ko suggest kiya tha aur asit modi sir ne bhi turant unse bat karke unko role diya. Aur amit ji ka kehna ye tha ki unko champakalal ke alava aur ek kiradar ke liye bhi pucha gaya tha par amit ji ko kuch challenging role karna tha aur champakalal ka role amit ji kar rahe hain aur itni khubsurati se nibha rahe hain isase bada challenge kuch nahi ho sakta.
Amit bhatt ji 15 saal theatre me kam kar chuke hain aur aise bujurga ka kiradar wo nibha chuke hain to unko koi dar nahi tha par challenging tha isiliye unhone ye karna shuru kiya. Inko set up par ready hone me jyada time bhi nahi lagata, unka kehana hain ki wo 5minute me ready ho jayenge bina koi makeup artist ke. Inhone apne kiradar ko natural banane ke liye bahot mehnat ki hain jaise ki apne balon pe, Amit bhatt ji ka kehna hain ki unke baal bahot hi lambe aur ghane the par iss kiradar ke liye unko apne balon ko cut karna pada aur jaise hi baal aate the unko shaving karna padta tha aur uski vajah se unko sar pe piche ki taraf infection ho gay atha aur iski vajah se kisi bhi salon me unke hair cutting nahi karte the aur production walon ne milkar ek scene leke aaye jaha pe wo sar par gandhi topi pehnate hain aur aaj bhi waise hi dikhate hain.
Unhone isase pahle bahot sare serials me kam kiya huwa hain jaise Kichdi, Yes Boss, Chupke Chupke, Funny family.com, Gupshup coffee shop, FIR aur unhone loveyatri ke movie me bhi kam kiya huwa hain. par unko champakalal ke kiradar se saphalata aur pyar jyada mila hain.
Amit bhatt ji apne ghar me pane patni aur do bachho ke sath apni kushal jindagi ji rahe hain. To aise hi tarak mehta ka ooltah dekhte rahiye aur bapuji ko pyar dete rahiye.
Follow us on instagram: https://rb.gy/lq2ytc
Follow us on Facebook: https://rb.gy/wenhol
Find us on youtube: https://rb.gy/8xsxg9
ลดเหงื่อ
ReplyDelete.
Thanks sir, for providing a awesome and meaningful article, I am regular visitor of your website and I always read and share your all articles.
ReplyDeleteVery nice and interesting article. Thanks for sharing valuable content. Also check my website Mr Jethalaal
ReplyDelete