Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me...
JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-
Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapurna kiradar hain. Wo ek kiradar pure show ko sath me leke chalta hain, jo bahot hi achhe se darshsta hain ki ek adnakari beta kaise hota hai, hoshiyar vyapari kaise vyavahar karta hai, ek baap kaise apne beteke sath rehta hain, ek padosi kaise apne padosiyon se kaise masti majak karta hai par jab jarurat ho to wahi majakiya insan sabki nasiya ban jata hain kuch bhi takleef ho wo unki madat karta hain. Kisi bhi chij ke liye mana nahi karta.
Iss show ke nirmata Asit Kumar Modi ji ne bhi iska jikar kiya tha ki jab wo e show shurukar rahe the to iss kiradar ki confidence pe shuru kar rahe the. Unko pura Vishwa tha ki e kiradar pure show ko bahot aage leke jayega aur aaj 13ve saal me e show utna hi chahita hain jitna pahle tha.
Chalo abhi Jethalal gada nahi balki uss kiradar ki pure shiddat se nibhane wale ek bahot bade kalakar ke bare me bat karte hain.
DILIP JOSHI:-
Dilip Joshi nam shayad logo ke dimag me thoda kam hi aata hain kyunki wo jethalal ke nam se puri duniya bar me prakyat huye hain, par unhone apne jeevan me bahot hi mehnat aur sangharsha kiya hain aaj ye mukam haasil karne ke liye. Hum se shayad bahot kam log janate hain ki dilip sir bahot bade hit films me kam kiya hain aur Asit Modi ke sath bahot baar, bahot hi sare serials me kam kiya huwa hain jo shayad utna hit aur nam jamake nahi diye honge jitna Jethalal ka kiradar unko aaj de raha hain.
Dilip sir uss time pe 15days ki serial ki shooting karte the aur 15 natakon me karte the.
1991 me jab zee tv launch huwa tha tab jake acting ko ek profession ke roop me chuna tha aise bhi bolte hain e kalakar, kyunki tab acting sirf hobby ban gayi thi na ki career. Unhone Zee TV me Jara Hatke serial me main lead me kam bhi kiya hain.
Shayad bahot kam log iss baat ko nahi janate ki Dilip sir kahi movies me bhi kam kiya jaise ki Hum aapke hain koun, hum sath sath hain, maine pyar kiya aur bhi bahot sare movies me kahi kalakaron ke sath kam kiya hain.
Jaise ki wo aur Asit sir pahle se hi ek dusare ko janate the aur dost the to, Asit sir dilip sir ki acting ko aur unki vyaktitva ko bahot manate the to unhone almost jo bhi show kiya dilip sir ko mauka diya tha aur achhe kalakaron ko mauka dena hi chahiye.
Dilip sir ne Sony TV me 1998 me Hum sab ek hain show me kam kiya tha aur uske baad Meri biwi wonderful, E duniya rangeen aise unhone apne kam ko dikhaya hain.
Aur Asit sir ke banaye huye iss comedy show me inko mauka mil gaya, Dilip sir ka kehna hain ki unko Asit sir ne 2option diye the ki Ya Jethalal ka role karo ya Champakalal ka role karo kyunki wo unpe bharosa karte the ki dilip sir ko koi bhi role do wo usme jaan daalenge to dilip sir apne presentation ke hisab se Jethalal ka role chuna aur abhi e itna mashoor hain ki shayad hi koi ise kabhi bhul sakega kabhi bhi jindagi me.
Iske sath aur ek baat jo Champakalal gada ka role karte hain Amit bhatt sir unko bhi Dilip sir ne recommend kiya tha. Kyunki unhone ne pahle kam kiya hua tha sath me.
Dilip sir jaise role me adyatmik hain jaise har bat pe bagwan ke nam lete hain waise hi wo apne niji jeevan me bahot hi spiritual hain. Wo swami mahant maharaj ke bahot aradhana bhi karte hain. Dilip sir ko hum logo ne parde par bahot hi shok se khana khate huye dekha hain par asal jindagi me bhi wo ek gujarati hain aur unhe Jalebi aur Papda bahot hi pasand hai.
hyperhidrosis
ReplyDelete.
Very nice and interesting article. Thanks for sharing valuable content. Also check my website Mr Jethalaal
ReplyDelete