Navaratri 9 dino tak mananewala pavitra aur dharmik tyohar hain. 9 din durga devi ke naam ka upavas karte hain, unka aaradhana karte hain, Pure dharmik vatavaran me mugda ho jate hain. Navaratri/Dussehra/Vijayadashami aise har rajya aur prant me alag alag tarike se manate hain.
Humare puran aur bujurgon ke hisab se pahle ke 3 din sabke ghar me aur har madiron me durga mata ki pooja aur aaradhana karte hain.
Baad ke 4,5 aur 6 ve din me lakshmi devi ji ka aaradhan aur pooja karte hain, tha ki dhan, sampatti aur samruddhi ka vaas humesha hum sabke sath apne ghar pe rahe.
Aakhir ke 7,8 aur 9 din me devi saraswati ka aaradhana aur pooja karte hain, tha ki sabke jeevan me vidya aur buddhi ki jarurat hain jo ki jeevan me saphalata paane ke liye bnahot hi jaruri hain.
Dussehra In South India-दक्षिण भारत में दशहरा
jaise maine kaha tha ki humare desh me har jagah, prant me alag alag tarike se dussehra manatae hain to jaha pe mera stayi sthan hain dakshin bharat me bahot hi alag aur dhum dham se manate hain. Jaise har jagah 9 din maa ki bhakti me sare log kho jate hain, maa ke nam ka upavas karte hain, upavas ke liye bahot sara pkwan banate hain bahot sara sweet banate hain. khub sari shubechha dete hain.
Navaratri shuru ke pahle din hi ghatastapana karte hain, uske liye ek thali me mitti aur khub sara dhanya dalte hain aur sath me 9 dino ke liye akhand diya lagate hain aur khayal rakhte hain ki 9 din tak wo bhuje nahi.
Navaratri ke aakhari me matlab 9ve din me aayudhpooja karte hain, jisme ghar me sab lokhande ka saman ka pooja karte hain iske piche humare poorvajon ka bahot bada varadan hain. Mahabharat me yuddha se pahle pandavon ne kauravon par vijay haasil karane ke liye apne sab shastron ka pooja kiya huwa tha aur wo vijayi ho gaye tab se ye prata chal rahi hain.
Aayudh pooja ke dusare din yani ki dussehra ke din ghatastapan par dale uge huye dhanyon ko apne pooja kiye huye shastron ke samne rakh pooja karte hain aur vijayadashami devi ki pooja aur aaradhana karte hain.
Dussehra, Vijayadashami ka matlab hi hota hain ki Burayi par achhayi ki jeet hoti hain. Iss vijaydashami pe apne andar ki jo bhi kadavahat, burayi hain sab katam karke ek achhayi aur imanadari ki jindagi jite hain.
Very nice and interesting article. Thanks for sharing valuable content. Also check my website Mr Jethalaal
ReplyDelete