DIWALI CELEBRATIONS: Diwali ek aisa tyohar hain jise pure hindustan me dhum dham se manate hain, Ye tyohar diye, roshani ke sath manaya jata hain. Diwali ko hinduwon ke sare tyoharon me se bahot bada tyohar mana jata hain. Diwali ko "Andere ke upar ujale ki jeet hain, burayi par achhayi ki jeet hain aur agyaan par gyan ka pratik mana jata hain. Diwali ko 5 din ke liye manaya jata hain. 5 din tak wo bhi adyatmik bhav se diwali manate hain. Har din ka hek mahtwa hain use manane ke piche aur use utne hi mahatwapoornata se manate hain. DHANTERAS/DHANTRAYODASHI: Dhanteras ko dhantrayodashi bhi kaha jata hain, ise diwali ke parv ka pehla din mana jata hain. Iss din me jyada tar karke sona lkharidate hain, sona karidane ke liye aaj ka din bahot hi shubh mana jata hain. Dhanteras ke din aur Akshay Tratiya din ko agar sona kharidane ki parampara ko dhan, samruddi, sampatti aur laxmi maa ko ghar ko amantrit karne ke barabar mana jata hain. Na sirf so...