SHIKSHAK KA MAHATWA| TEACHER'S IMPORTANCE
Shikshak, iss shabd ke liye bahot sare paryayvachi shabd hain par matalab sirf ek hi hain. "Guru" jo hume gyan dete hain, jo hume vidya ka pat padate hain jo hume, mitti se ek murti banate hain. Shikshak sirf shiksha nahi dete use kaise apne jeevan me amal karna hain wo bhi sikhate hain. Shikshak humare jindagi ke liye ek varadan hain jiske bina hum sabki jindagi adhuri hain.
Shikshak ka koi mol nahi hota, na unki di huyi shiksha ka mol hota hain. Ek achha guru hume sirf pustaki path nahi dete, jo hume duniya ki achhayi aur burayi ka gyan de, jo hume har mushkil ko samana karne ka sikh de, apni prapth ki huyi shiksha ko samajadari ke sath kaise upayog karte hain wo sikhate hain. Hum sabko ek baat humesha yaad rakhni chahiye jitni mehnat vidyarti padayi karne me karte hain utni hi mehnat shikshak padane me karte hain. Duniya ke har badlav ko samajana hota hain aur sath me use vidyarthi ko sikhana hota hain. Shikshak vidyartiyon ko gyan ke khule aasman me udaane ke pank deta hain.
Chanakya ne kaha hain, shikshak kabhi sadharan nahi hota nirman aur pralay uske godh me palate hain. Shikshak bachhon ke bhavishya ka nirman karte hain, unke har ek mushikol ka samana karna sikhate hain. Par aaj kal hum log shayad bhul gaye hain shikshak ko sirf teachers day ke din hi yaad karte hain iske upar se aaj kal bachhe ho ya bade ho shikshak ka aadar karne ki bajay unke upar majak karte hain. Aise bahot sare kisson ke bare me hum log sunate hain dekhte hain par kuch kar nahi pate, par un logo ko samajana jaruri hain ki jis par wo majak karne lage hain wo unhi ki jindgi sawar rahe hain.
Shikshan ka mahatwa to sab janate hain, bina shikshan ke jindagi bitaana aur gujarana mushkil ho jata hain. Shiksha lena aur dilana jeevan ka mahtwapurna hissa hain, shiksha humare charitra ko darshata hain, shiksha humare dimag ko tej karta hain, shiksha lene se vichar karne ki kshamata badati hain, shiksha lene se hum kisi bhi khsetra me apna nam bana sakte hain, jindagi ko dekhne ka najara badal deta hain.
Shiksha lene se apne aur dusre logo ki bhi madat hoti hain, hum apne jeevan aur dusro ke jeevan ki margadarshak ban sakte hain. Shiksha ek avashayak manaviya gun, ek achhe jeevan ka aadhar hain, Shiksha prapth karne se hum apna jeevan swatantrata se ji saktehain, humara aatmavishwas badata hain. jindagi ko ek artha milta hain aur hum kahi bhi jaye koi hume bevakup nahi bana sakta.
Shiksha sirf chaar diwaron ki bich jo school me hi nahi hota, shiksha humare jindagi se bhi milti hain. Shiksha hume behatar nagarik banati hain,hume apne jeevan ko kaise khubsurat banate hain, hume apne desh ke prati jimmeadar banati hain. Shikshan paane se hi hum shishtachar banate hain, hume har mushkil me ubarke aane ki ummid dilati hain, hume apne jeevan me niyam ka palan karna sikhata hain.
Shiksha humare andar aisa aatma vishwas le aati hain jiski vajah se hum kisi bhi kshetra me kuch bhi kam karne se bilkul piche nahi hatate, kisi se baat karne se pahle darte nahi hain, kisi mushkil ka samana karne me dikkat nahi hoti. Ek shikshit vyakti apne jeevan ko khushali se bitate hain, shiksha prapthi se apne andar chipi huyi pratibha ko bahar nikalti hain jiski vajah se humari rojagari chalti hain jiske vajah humara jeevan swatantra ban jata hain kisi ke upar nirbar nahi ho sakte. Shikshan lene se manasik hi nahi daihik tarike bhi majboot banata hain.
Par aaj kal shikshan ke jagah pe shiksha prapt karne se jyaada vyapar chal raha hain, bachhon ke admission ke liye donation mangate hain, bade bade shikshan ki jagah pe chote aur garib logo ko admission dete nahi hain e soch ke ki unki vajah se unke sansta ka naam karab ho jata hain. Jis jagah pe samanata ka path padana chahiye waha pe logo me unke bachhon me bed-bhav kiya jata hain. Shikshan prapt karne ke liye unke garwalon ki yogyata mat dekhiye uss bachhe ka hunar dekhana chahiye agar wo bachha us layak hain to uss sansta ka kartavya hain ki wo unn bachho ko admission de, aur agar wo bachha thoda sa bhi kamajor hain shiksha me to uss sansta ka aur vaha ke shikshakon ka kartavya hain ki wo uss bachhe ko shiksha prapth kare aur use desh ke unnati me apna yogadhan de.
Main yaha pe ek bat jarur jodana chahungi hum sabke cahita show tarak mehta ka ooltah chashmah me bhi humare ek shikshak hain jo apne siddanton ke saath jude huye hain, apne shikshan ke duniya me sachhe hain, bina kisi lalach ke apna kartavya kar rahe hain. Hum sabko e dekhana chahiye ki kaise apne kam ke prati sachhayi dikhana chahiye, kaise apne vidyarthiyon ko shiksha dena chahiye, kaise bachhon ko sikhate hain ki wo apne desh ke prati jimmedar bane, shikshit rahe dusaron ko shikshit kare. Ye dekhana aur sikhana chahiye, bhale hi wo ek character hain par maanane me nahi aata ki wo ek sirf adhakar hain.
Shiksha Aur Shikshan Ke Bina Humari Jindagi Adhuri Hain.
Please read and share with your friends.
Follow us on instagram:
https://www.instagram.com/tmkoc_blogs/?hl=en
Find us on facebook:
https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/
Find us on youtube:
https://www.youtube.com/channel/UCC5OLAue9S9kMZx9vRbPxaA
Comments
Post a Comment