Skip to main content

RAPE CASES| LADKIYON KI RAKSHA| HATHRAS RAPE CASE|

        Kya likhu main, kya bayan karu main, e kahun ki ladkiya usi desh me surakshit nahi uss desh ko bharatmata ke rup me dekha jata hain, ya e kahun ki inn darindo ki vajah se ladkiyon ki astitwa mithane lagi hain, sapne mithane lage hain to ijjat ko khule aam uchala ja raha hain. E kyu huwa ya kyun ho raha hain kisi ke pas bhi jawab nahi hain. 

     Jo bhi unn ladkiyon ke baare me soch raha hain ya dekh rha hain, aap sab log soch rahe ho unn par kya biti hogi wo kya feel kar rahe honge. Ladki Hun muje puchon aur wo sari ladkiyan apne aap me jake dekho ki kabhi mehsus kiya hoga ki koyi gandi najar se dekhta bhi hain to lagta hain ki humara astitwa hi nahi hain, koi gandi tarike chuta bhi hain to lagta hain ki jan nikal gayi hain. Jab gandi najar aur chune se humari halat karab hoti hain to balatkar pe kya ho sakta hain. Rape ka nam sunate hi ladkiyonki ruh kapati hain, unki sanse rukh jati hain.  Un darindo ke do minute ke maje ke liye humari zindagi kyu katam ho hati hain, kisi ke pas koi jawab nahi. Hum abhi nirbhaya se ubhare nahi hain to Manisha ko katam kar diya iss samaj ne. Jab ladko ko ghar par raja beta banake rakhte ho to unhi beto ko samajaya karo ki raste pe, gali nukkad pe jo ladkiya jati hain wo item ke nam se nahi jani jati, wo kisi ki maa, beti aur behen hoti hain. 
         E rapist ladkiyon ki ijjat ke sath kilwad kar dete hain, usko manasik roop se thod dete hain, jab wo ladki apna dam thod deti hain to uske astitwa par sawal uthate hain. Kis samaj me rehte ho, kis samaj ko dikha rahe ho, aagewali pidi ko e dikha rahe ho ki e hoti hain ladkon ki takat. Wo ladki chilla rahi thi tab apni maa ki yaad nahi, wo ladki tadap rahi thi tab behen ko samne nahi paya, wo ladki apni ruh se juda ho rahi thi tab beti ki awaz nahi sunayi di. Kya muh dikhate ho apne ghar ke ladkiyon ko, kya jawab doge jab apne ghar ki ladki puchegi ki kyun kiya..?? Samaj badal gaya, soch nahi badli hain abhi.     Ek taraf humare desh me deviyon ki murtiyon maa ke roop me pujate hain par dusari taraf ladkiyon ke sath aisa vyavahar karte hain. 

      Inn sabme humare desh ka kanun to aaj bhi piche hi hain, rape karnewale apna kand karne me 8minute nahi lagate par usi darindon ko saja dene me humare desh ko 8 saal chahiye. kyun unn logo ko unki galtiyon ka ahsas nahi karwate kyun ladkiyon ko nyay milne me itni der lagate hain, kabhi unn pariwaron ke baare me socha hain. Inn sab chijon ke upar humare desh me kuch aise log bhi hain jo rape aur rapist ke karya ko justify karte hain, ladkiyon par ungali utate hain. Ladkiyon ke kapdo pe ungaliyan uthana, ladki rat ko bahar jayegi to yahi hoga, e bolke unn jaise logo ko badava dete hain. shayad ladkiyon ke nasib me aur jindagi me yahi likha huwa hain. Na koi samaj, na koi kanun isme kuch kar sakta hain ladkiyon ko khud iss par kam karna hoga kaise inn  darindo ko sabak sikhana hain. 


      Ek chota sa kissa hain jo har ghar me chalta hain, 

Maa bolegi, chote kapde mat pehano duniya karab hain.           

  Apne bete ko apnne drasti saaph karne bolo.

Papa bolenge rat ko bahar mat nikalna,kuch bhi ho sakta hai. 

Apne bete ko bole ki wo ghar baithe tha ki ladkiyan surakshit rahe.

Padosi bolenge ki apni beti ko kabu me rakho, apni beti ki raksha karo.                                   

Aap  apne bete ko shikshit kyun nahi karte pahle.


USKE SATH BALATKAR HUWA NAHIN, 

USANE USKE SATH BALATKAR KIYA HAIN.


INSTAGRAM: https://www.instagram.com/tmkoc_blogs/?hl=en

FACEBOOK: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/

YOUTUBE: https://www.youtube.com/channel/UCC5OLAue9S9kMZx9vRbPxaA

                           


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur