Beti bachao, beti padao, iss yojana ke sunate aapke dimag me kya aa raha hain ek baar jarur sochana. Meri har soch ko maine yaha pe bayan karne ki koshish ki hain, aap log bhi apni raay jarur dena aur agar meri koi galti hain to muje bol dena. Waise to hum log har chij me ladkiyon ki madat lete hain, bina ladki ke jindagi chala nahi sakate fir bhi usi ladki ke astitwa ko bachane ke liye prashasan ko andolan chalana pad raha hain. Hum log sirf kehne ke liye kehte hain beta aur beti saman hain par fir bhi ladkiyon ko wo jagah abhi tak nahi mili jiski wo kaabil hain. Beti bachao, beti padhao ka e andolan 22nd January 2015 me humare desh ke manya pradhan mantri shri Narendra Modi ji ne shuru kiya gaya. Hume kya hakh hain ki hum kisi ki jaan baksh de ya kisi ki jaan le, samaaj to bahot aage bada chuka hain par ladkiyon ke mamle me jaha tha wahi hain. Humare desh ke kitne pariwaron me abhi bhi purush-pradhan samaj chal raha hai jaha pe sirf ladke aur purushon ko m