Beti bachao, beti padao, iss yojana ke sunate aapke dimag me kya aa raha hain ek baar jarur sochana. Meri har soch ko maine yaha pe bayan karne ki koshish ki hain, aap log bhi apni raay jarur dena aur agar meri koi galti hain to muje bol dena.
Humare desh ke kitne pariwaron me abhi bhi purush-pradhan samaj chal raha hai jaha pe sirf ladke aur purushon ko mahatwa dete hain. Unko padana, likhana, gumne bhejana, ya har choti badi baat pe ladko ko aage rakhte hain ladkiyon ko uss har ek chijon se dur rakhte hain. Jab bhi ladki thodi si badi ho jati hain to use uske jindagi ke faisale tak nahi lene dete, use bina puche jabaradasti uski shaadi karwana e ek pariwar ki jabaradasti hain to, Jab ladki ki shadi ho gayi aur to usko apne hi ghar me barabar ka haqh nahi milta. Humesha apne pati ke sahare ke sath jeena padta hain, jab wo bete ko janma de to mahan agar nahi to ghar ke liye shrap. Infact aaj bhi aise bahot se pariwar jahan pe bachhe ke janma lene se pahle hi use peth me hi mar dete hain, kyunki wo ladki hoti hain. E test karwane ki soch galat bhi hain aur kanunan guna bhi hain. Par kisi ko e hakh nahi banata ki bachhe ko janma lene se pahli hi use mar diya jaye.
Humare desh me abhi bhi kahi jagahon me ladkiyon ko bhoj mana jata hain, ladkiyon ki padayi ko paise ka apavyay samajate hain, ladkiyon ko padana unke liye abhi bhi bhoj hain. Betiyon ko humare desh me kahi devatavon ke nam se jod dete hain kabhi laxmi maa, saraswati, durga maa aur pata nahi duniya ke har deviyon ke sath jod dete hain par fir bhi hume ladkiyon ko bachane ke liye, unke hakh ke liye andolana chalana pad raha hain, kanoon ki madat leni pad rahi hain. Ladki ke kitne roop hain, wo beti banake apne papa ke aankho me pyar bar deti hain, maa ko sine se lagake rakhti hain, behen ban kar rakhi bandati hain to choti behen ki baal kichke sharart karti hain, patni ban ke jeevan ke sukh dukh me saath deti hain sabse badkar wo ek maa hoti hain. Usi maa ki vajah se humne duniya dekhi hain, usi maa ne humne sikhaya bhi hoga ki ladkiyan hoti kya hain..? par shayad kuch logo ne bhula diya hain
Bachhon ke dil aur dimag me unke bachpan se hi e baat bhar di hoti hain ki ladka jo bhi kare samaaj ke liye achha aur ladki jo bhi kare wo kuch mayane nahi rakhta. Ladkiyan akeli kuch nahi kar sakti, unko purush ka sahara chahiye hota hain kabhi Papa ke rup me to kabhi bhai aur baad me pati aur bete ke rup me par logo ko e samajane ki jarurat hai ki ladkiyon ko sahare ki nahi sath ki jarurat hoti hain. Hum logo ko agar bachpan e sikhaya jaya ki ladke aur ladki ek saman hain, galati dono ke liye barabar hain, to shayad aise koyi bhi yojana ya andolan ki humare desh me jarurat nahi padegi.
Happy Daughters To All Of You...!! Betiyan Ghar Aur Samaj Ka Anmol Hissa Hain, Us Hisse Ko Kamajor Samajane Ki Galti Mat Karna.
Follow Us On Instagram: https://www.instagram.com/tmkoc_blogs/?hl=en
toptenclinic
ReplyDelete.