Skip to main content

FRIENDS, FRIENDSHIP| PURE UNCONDITIONAL RELATIONSHIP

       Friends, Best Friends, Dost, Mitra, Param Mitra, sunate hain hum sabke dimag me apne-apne friends ke nam yaad aa jate hain. Unke sath bitaya huwa har ek pal yaad aata hain, apne sare shararat yaad aa jate hain, har wo ek dukh aur sukh ke pal yaad aa jate hain. Humare saare rishte humare janma se humare sath aa jate hain, par friendship, dosti ek aisa rishta hain jo hume khud banana hota hain. Dost ek aisa insaan hota hain jisase dekhte hain hum kush ho jate hain, jisase aap sab kuch share karte ho, hume kuch chupane ka man nahi karta. Friendship,Dosti ek aisa rishta hain jise nibhana nahi padata dost ke sath to har pal suhana lagata hain. 


                  Hum sabka ek friend hota hain wo humare dil ke bahot karib hota hain, jise hum best friend, param mitra bolte hain. Sabke life me ek bestfriend to hota hain jinse hum bahot pyar karte hain. Best friend wo hota hain jo aapke sath har time hota hain, har ghadi me wo aapke sath hote hain chahe wo personal ho ya professional problem ho apna best friend khade ho jate hain. Hume jyada logo ko dost banane ki jarurat nahi hoti par ek aisa dost hona jaruri hain jo hajaron doston ke barabar hona chahiye, aur kahi na kahi hum sabke jeevan me aisa ek dost hota hain aapke bhi honge mere bhi hain. Wo kehate hain na

"Ek achha pustak 100 achhe dost ke jaisa hota hain, par ek achha dost pura pustakalay hota hain" 

          Iska matlab yahi hota hain, jaise hum sab janate hain ki books insan ke jeevan me kitna asar karti hain humari jindagi badal deti hain to Abdul Kalam Ji ne 100 pustakalay ki tulana ek achhe dost se karte hain. Uss dost se hum bahot kuch sikh sakte hain, humare achhe bure me wo humare sath rehate hain. Hum kabhi bhi galti se kuch galti kiye to apne best friend khade ho jate hain wo galti ko sudharane ke liye. Wo kabhi aapko takleef me padne nahi denge. Friendship ek aisa pure rishta hain jisme swarth ke liye koi jagah nahi hain, jisme dukh ka nam bhi nahi aata, akelapan mehsus nahi hota, niswarth bhav se jindagi ko aaram se jiya jata hain. Apne bestfriend ke sath bharose ke sath rahiye, apni dosti imaanadari aur pyar se nibhana aur iss rishte ko aur suhana bana dena. 

            Iske sath hum sab apne best friend ko yaad karte karte ek choti si muskurahat apne chehre pe leke aate hain. 


Follow Us Instagram: https://www.instagram.com/tmkoc_madamsir/

Follow Us On Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/


         


Comments

Popular posts from this blog

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur