Hasi Khushi se hum log ye show dekhte hain, har comedy pe thahake lagate hai, har sankast me hum shamil hote ja rahe hain, 12saal se logo ko hasana aasan nahi hota par utna hi mushkil hota hain logo ke jeevan par apne achhayi ka asar chodna. 3000 episode ke pavan avasar par puri tarak Mehta ka ooltah chashma ke team ne hum logo se e pucha ki unke iss show ka asar humare jeevan pe kitna pada hain. Shayad iska jawab maine bahot din pahle hi fund liya tha aur iss show ke upar apni aur apne aas pas valon ki raay apni articles me likhna shuru kiya tha. Par e ek bahut hi achha mauka hain unn logo tak e baat pahuchana ki humare jeevan me kya asar huwa hain.
Har kisi ki jindagi aasan nahi hoti, muskhil to hoti hain, par unn mushkilon ko sakaratmak se lekar sab milkar katam karne jaye to har mushkil aasan ho jati hai. Ye sikha hain maine iss show se.
Swachha bharat abhiyan ko hum log kaise bhul sakte hain. Kaise hume apna ghar, society aur desh ke har ek kone ko kaise swachha rakhna chahiye. Ye sikha hain maine isase.
Badon ko aadar kaise karte hain, apne parents aur bujurgon kon apne iss jamane vicharon ko unke tarike se unhe kaise samajate hain. Ye sikha hain maine isase.
Apne desh ke prati apni jimmedari ko kaise hum pura kare, kis tarike se apne desh ko unnati ke aur badaye. Ye sikha hai maine.
Mehnat se kiya har kam, sakaratmak se jine ka sukun kya hota hai, dusron ko khushi dene se hume kitni khushi milti hai e mehsus karna sikha hai maine.
Apne desh ke bahot hisson me pani ka itna problem hain, to pani ko apavyay kaise nahi karte wo sikha hain maine.
Desh ke har tyohar ko kaise manate hain wo bhi sath me milkar wo sikha hain maine.
Shikhak, Doctor, Business man, Patrakar, lekhak, Engineer, Scientist, Business women. E sab patra hain isme to apne khetra me aage badke kaise desh ke unnati me apna yogadan de. E sikha hain maine.
Ladkiyon ki raksha, swabhiman, atmasamman kaise kiya jata hain, unko khud ki raksha aur samman ke liya kaise ladana chahiye. ladkiya bhi desh ki unnati ka hissa hain aur wo bhi desh ka nam uncha karti hain. E sikha hain maine.
Sabse jyada mahatva ki baat ethi ki Mitrata kaisi hoti hain, doston ke prati apni jimmedari kya hain, apna kartavya kya hai, dosti me kya jaruri hain. E sikha hain maine iss show se.
Har episode, har kissa, sirf hasaane ke liye nahi hota usme bahot sara pyar aur sikh hoti hain jo maine iss show se sikha hain.
Pichale kuch dino se iss show ka mere niji jindagi me bahot hi asar huwa hain. Iss show ki vajah se maine likhna shuru kiya, jyada padana shuru kiya hain. Har problems ko sakaratmakata se lene ki aadat kar rahe hun.
Monsterpunch boxing กระสอบทรายตั้งพื้น กระสอบทราย ไม่ว่าจะใช้เพื่อการออกกำลังกาย ออกอาวุธแบบฉบับชกมวย ซ้อมมวย ซ้อมเทควันโด
ReplyDeleteกระสอบทรายตั้งพื้น กระสอบทราย
ออกกำลังกายลดน้ำหนัก หรือหากิจกรรมสนุก ๆ ยามว่าง กระสอบทรายตั้งพื้น Monster Punch คือคำตอบ .