Skip to main content

ELECTION| MATADAN| DESHVASIYON KI JIMMEDARI

     Matadan (Election), hamare ganatantra desh ka bahot mahatwapurna hissa hain. Jab bachhe chote hote hain tab election ke din ke chutti ko masti me majak me bita dete hain, unhe samaj nahi hota ki election ka din kitna mahatwapurna hota hain, jab main choti thi main bhi uss din ko chutti samaj ke khel khud karti thi, jaise hi 16-17 saal ki ho gayai to samaj aaya ki election ka din chutti manane ke liye nahi hota, jab aap bade hote ho to hum sabke gharwale aur school me sikhate hain aur samajate hain ki uss din humko humara ek bahot bada kartavya nibhana hota hain. Usi par humare desh ka bhavishya thika nirbar hota hain par shayad aaj kal election ko majak samaj ke rakha hain, matadan ko vyapar ki tarah chala rahe hain. Chalo kuch panno ko kholke dekhte hain humare desh ke election ke baare me. 


                 Election ek aisa sandarbha hain jis par humare desh ka bhavishya hota  hain, jaha pe ye tair karna hota hain ki aage jake kounsa neta humare desh ke liye sahi hota hain, kya wo neta humare jarurat ko puri karta hain, kya wo neta huamre desh ke unnati me yogadan deta hain, kya wo neta sarvajanik logo ki takleef ko samaj payega e sab sochne ka din hota hain soch ke matadan karne ka din hota hain. Par humare desh me kuch aisa neta hain jo inn sabke baare me sochane ki bajay unko apna adhikar, satta ki padi hoti hain. Wo apni satta ke liye desh me brastachar badate hain. Kuch aisa neta hota hain jo vote lene ke liye kuch boli janata ko paise aur san dene ki lalach deke vote kharidne ki koshish karte hain aur janata bhi unke baton pe aakar kuch paise aur chijon ki vajah se apne pure gharwalon ke votes unko de dete hain. Wo jane anjane me iss brashtachar me shamil ho jate hain, iska ek hi karan hota  hain unke halat ki vajah se uss waqt pe jo bhi unko milta hain wo tab swikar kar dete hain par e kanunan galat hain jo humare nagarikon ko pata nahi chalta hain. Par iss chakkar me sahi ummidawar satta me nahi aate hain aur desh me aise rajakarani satta me aa jate hain jinki vajah se brashtachar kam nahi balki bad jata hain. 


                   Agar ye brashatachar rokhna hain to hum sabko ek jhut hoke ladana hoga, hume khud aage badakar iss galat kam ko rokhne me apna yogadan dena hoga. Hum sabko pata hain chie har jagah pe hota hain hum sabke samne hota hain par hum log kuch nahi bolte kuch nahi karte, uss galat chijon ko badava dete hain humari chuppi ek din hume bhi takleef me dal deti hain, aur iski vajah se dusre bhi takleef me aa jate hain. Agar aapko lage ki koi aisi galti kar raha hain to chup rehane ki bajah unn par complaint kijiye, un  netwon pe karwayi hona jaruri hain aur galat karnewalon ko saja milna bhi chahiye aur ek bat bahot hi mahatwapurna hain jo hum sabko samajana chahiye wo hain, galti dono taraf se hoti hain brashtachar karnewale bhi aur use badawa denewale bhi. Isme wo neta jo vote kharidane ki koshish karte hain aur wo log jo iss chakkar me padte hain. 


         Agar hum ye chahate hain humari sadake sahi rahe, huamre desh me se pani ki samasya katam ho, agar hum chahate hain ki shikshan me hum log aage bade, agar hum chahate hain ki humare desh se garibi katam ho, ladkiyon ki suraksha pe kam kare, yuv pidi ko naukari prapt ho aur aise bahot sare kam hain jo apne desh me karne hain to waisa neta bhi satta me aana chahiye aur wo humari jimmedari hoti hain ki humare desh me sahi neta chun ke aaye aur humare desh ki unnati badaye na ki brashtachar.


    Lalach chod dijiye tabhi aapko wo milega jiske aap sahi me hakkadar hain aur agar aapko ye sab dekhna hain aur sikhna hain ki kaise iss sabke khilaf ladna hain to please jake tarak mehta ka ooltah chashmah ka episodes dikhiye. 



          Matadan kijiye aur apna kartavya pura kijiye.

Instagram: https://www.instagram.com/

Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/


Comments

Popular posts from this blog

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur