Swachha Bharat Abhiyan, ek aisa andolan hain jise humare Pradhanmantri Shri Narendra Modiji ne 2014 me start kiya hain. E to bahot achhi baat hain par muje ek baat samaj nahi aa rahi hain ki har baar har ek achhe kam ke liye humare sarkar ko abhiyan kyun chalana pad raha hain. Desh sirf prashasana ki jimmedari nahi hain, kya desh humara nahin hain.? kyun hum logo abhiyan chalana pad raha hain, kyun har kam ke liye prashasan hi saamane aaye. Sirf humara desh mahan kehane se to hum hindustani nahi banate, hum logon ki kuch jimmedari hain humare desh ke prati, apni desh ki unnati ke prati. Apne desh ko swachha rakhne me bhi hume abhiyan karna pad raha hain.
Humhare sarkar ko lakho rupay karch karke isthiyar chapavana pad raha hain, hum logo ko pata hain humne dekha bhi hain log bahar jate hain to kuch khate hain to uska kagaj aise hi kahi bhi pekh dete hain, kachare ka dabba dundane ki thodi mehnat bhi nahi karte. Agar nahi mil raha hain to apne sath jakar ghar ke kachare ke dabbe me dal sakte hain par thodi si samajadari nahi dekha sakate hain. Hum logo ne Iss show me bahot sare episodes dekhe hain swachha bharat abhiyan pe phir bhi aaj bhi kachare pe itna dyan nahi de rahe hain. hum log ye samaj nahi rahe hain ki iss kachare ki wajah se apne shaharon me kitni gandagi phail jati hain, uss kachare ki vajah se shaharon ki pani jane ka rasta bandh ho jata hain, hum log ye nahi sochate hain ki iski vajah se janavaron par bhi kitna asar hota hain agar galti se bhi kisi janavar ne humare pekhe huye plastic kagaj ko kha liya to unki bhi tabyet par asar ho jata hain.
Hum log apne ghar ki swachhata ke baare me bahot dyan dete hain, bahot sochate hain to phir humara desh bhi to apna hain to kyun hum log uspe dyan nahi dete hain, neglect kar dete hain. Gali mohallon me pade huye kachare ki vajah se kitne machhar hote hain, virus hote hain aur bacterias hote hain Unn virus ki vajah se logo ki tabyet par asar hota hain aur bhimariyan phail jati hain. Aaj bhi hum log virus ki vajah se itna pareshan hain to swachata pe humko dyan dena chahiye. Humare desh ka total kachare ka ektihayi hissa kachare ki gadi collect hi nahi kar pati hain, wo kachara sadak pe hi pada hota hain aur usase apne vatavaran pe bahot buri tarah se asar padta hain. Usase insan ke sath sath muk janavaron pe asar padta hain. Agar hum logo ko aage jake iss kachare ki vajah se rog ka bulawa nahi lena hain to abhi se chote bachhon ko e sikhana hoga ki swachhata hota kya hain, kaise hota hain, kaise karte hain aur e jaruri hain. Agar hum log abhi se bachhon ko ye sikhaye ki apni gali, mohalla, society, ghar aur building aur raste ko kaise swachha rakh sakte hain. Shayad abhi se inn chijon ki aadat pade to aage jake iss kachare se mukti mil jayegi.
Hum sab milke pran lete hain aaj se balki abhi se, hum na kachara karenge, na kachara karne denge aur sath me apne desh ko humesha swachha aur sundar rakhenge. Aur humesha tarak mehta ka ooltah chasmah dekhte rahiye.
"CLEAN INDIA, GREEN INDIA"
Follow Us On Instagram: https://www.instagram.com/tmkoc_madamsir/
Visit Our Facebook Page: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs
Watch Some Comedy scenes Of TMKOC In youtube: https://rb.gy/eegmmz
Please Read My All The Articles and support, if you like share with your friends.
Comments
Post a Comment