Why We Get Dreams..? Jethalal's Dream Story In Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah - हमें सपने क्यों आते हैं..? जेठालाल के सपनों की कहानियां तारक मेहता का उल्टा चश्मा में
Sapne jo aankhe bandh karke ek kahani ko dikhati hain, jaruri nahi hain ki wo kahani sach hi ho ya sach honewala ho par jab hum unn sapnon ko mehasus karte hain to hume lagata hain ki wo vastavikata me chal raha hain. kuch sapne aise hote hain jiski vajah se aap tanav me aa sakte hain, kuch aise sapne bhi hote hain jise dekh ke aapko khushi bhi milti hain par wo sirf ek kalpanik katha hoti hain. Ye ek aisi kriya hain jo nidravasta me hoti hain, experts ka kehana hain ki hum apne nidravasta me kam se kam 2-4 baar sapna dekhte hain par, unme se hume sirf ek aisi koi ghatana hoti hain jo shayad humne apne jeevan me mehsus kiya ho ya soch rahe ho ki aisa kuch karna hain, hume yaad rehati hain. Kuch logo ko sapne yaad rehate aur kuch log bhul nahi pate. aisa hi ek episode hum sabke chahite show me dikhaya ja raha hain abhi, kaise jethalal ko sapne aa rahe hain, kyun aa rahe hain, sapne na aaye iske liye wo kya kya kar rahe hain to dekhna mat bhulana.
Sapne kyun aate hain iss par shayad bahot logo ne bahot kuch kaha hain, likha hain aur bahot had tak sahi bhi hain. Jo bhi mera anubhav hain uske anusaar jyada tar sapne apne active mind se aati hain, jaise ki hum ek hi chij ko baar baar soch rahe ho ya uske bare me baat kar rahe ho to wo humare dimag me baith jati hain ya uss vyakti, ghatana, wo jagah ka chhap apne dimag me baith jata hain aur wahi abhas ke roop me sapne me aa jata hain. Kuch aise sapne hote hain jo bahot hi ajib hote hain aapko lagata hain, e kya tha kahi bar aapko lagata hain ki inn sapno ka mere jeevan me koi astitva nahi hain, fir bhi aap wo abhas karte ho, uske piche sadaran sa karan hota hain, jab bhi aap jyada stress me hote ho, manasik roop se tanav hota hain, jab bhi aap jyada sochate ho ya kabhi kabhi sone se pale kuch daravani kahani padna ya dekhana wo aapke sapno pe asar karti hain aur bahot se logo ke saath aisa bhi hota hain ki jab apne dinacharya me badlav aate hain to bhi ajeeb sapne aane ki sambhavana hain.
Abhi jo duniya bhar me chal raha hain corona virus ki mahamari iss vajah se logo ke dimag pe tanav bahot hi jyada aur tivrata se bad raha hain, abhi lagbhag bahot se logo ke vyapar rukh gaye hain, kahi logo ki naukari chali gayi hain, aamdhani ghat rahi hain aur kahiyon ki haalat bahot hi karab hain to, manasik rup se tanav badna swabhavik hain. Par hum sabko apne manasika tanav ko kam karne ki koshish jarur karni chahiye, kyunki hatash hoke baithenge to shayad wo tanav bimari me badal saktha hain jo bilkul bhi achhi baat nahi hain. Koshish ki shuruvat kar sakte hain,
Hume har din ek hi samay pe sone aur jagane ki koshish karni chahiye, Yoga ya vyayam karna, sone se pahle mobile,tv se dur rehana chahiye, aur kuch achhe kitabe padne shuru karna bahot hi achha hoga. Sone se pahle apne dimag ko shant rakhiye aur sone ki jo jagah hain use bhi shant vatavaran me badal dijiye, Inn choti choti se baton se kahi na kahi se to parivartan shuru ho jayega.
Jaise abhi taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me dikha rahe hain ki jethalal ko ajib se sapne aa rahe hain, jo bhi wo soch rahe hain bol rahe hain ya jo unke aas paas chal raha hain uss tanav ke karan unko uss tarah ka abhas sapno ka roop dharan karke bahar aa raha hain, abhi wo bahot si chije koshish kar rahe hain uss halat se baahar aane ka hume dekhana hain ki kaise wo baahar aate hain isme se aur shayad hum prekshakon ke bhi kuch sawalon ke uttar mil jaye sapno ke baare me.
Agar books padane ka man hain aur janana chahte ho books ke baare me to niche instgram ka link de rahi hun. Check it out...!
Instagram: https://www.instagram.com/
Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/
Instagram Account For Books: https://www.instagram.com/book_zones/
👏
ReplyDelete👏
ReplyDelete