Hum sab viewers janate hain ki tarak mehta ka ooltah chashma ke show pe kaise wo saare log milke festivals manate hain, tarak mehta ka ooltah chashma me ye bahot khubhi se dikhaya gaya hain ki kisi dharma, jaat pat se tyoharon ko koi parak nahi padata, manavata aur dil saf ho to hum log har dharma ko apna banakar festivals ko celebrate kar sakte hain wo bhi bahot hi khushi se. Hum logo ko bhi wo dekh kar sikhana chahiye ki kaise hum log bhi wo show tarak mehta ka ooltah chashma ki tarah ek hasi khushi se festivals manana hain. Abhi to Ganesh Chaturthi ka saftah chal raha hain to hum log uspe baten karte hain.
Ganesh chaturthi ek aisa tyohar jise tarak mehta ka ooltah chashmah me bhi manate hain wo bhi bahot achhe se, ye ek aisa tyohar jisme har ghar me khushiyon ke roop me mehman aate hain, saare vigno ko dur karne, hume aashirvad deke sare sankaton ko humare jindagi se mithane. Wo jab ghar padarate hain to pure ghar ka mahol bahot sakaratmak ho jata hain waise bhi ganapati bappa ko har pooja me har acche samay me yaad karte hain unki raksha karte hain, unki aaradhana karte hain, par jab ganesh chaturthi hoti hain uss time ki khushi kuch alag hi hoti hain. Hum logo ne tarak mehta ke show me bhi dekha hain kitne mushkilon ko par karke bade hi dhum dham se wo log bappa ko society me lekar aate hain, 5-7 days tak unki bhakti karte hain seva karte hain, tarah tarah ke vyanjan banate hain, bappa ko bhog chadate hain. Lagta hain na ki har saal hota hain usme kya hain par nahi jab bappa ka agaman hota tab ki feeling hi kuch aur hoti hain.
Hum logo ko koyi bhi fetivals manane se pahle ye jaan lena cahiye kyunki hum kyun wo festivals manate hain, kya kahani hain, har achhi kahani aur buri kahani ke piche kuch karan hota hain to koi bhi festival celebrate karne se pahle apne badhon se jaan lena ki kyun hum tyohar manate hain. Hum log ganesh chaturthi manate hain, ganapati bappa ko kyun sankat nivaran bolte hain kyun hum jab bhi sankat me hote hain to ganapati bappa ko pukarate hain. Hum logo e janana chahiye ki humare desh me hum log itne tyohar itne alag alag tarike se manate hain to humara farz banata hain ki hum jane ki wo kyun hota hain.
Hum logo ko ye dyan rakhana hoga ki hum jo bhi festivals manate hain usme hume kisi ko harm nahi karna hain. Abhi ke jamane me ftyohar ki bhakti kam aur moj ka sadhan gaya hain, ganesh chaturthi me ganesh ki aarti kam patakon ki awazen jyada sunayi dete hain. Na hum log apne desh ki swachhata ki kadar rahe hain, na hum log humare janwaron ki kadar kar rahe hain, kyunki patakon se jo bhi duwan nikalta hain wo humare prakrati pe bahot hi bura asar padta hain ye jiska parinam hi hain e sare mahamariyan, ye sare rog aur hum kaise bhul sakte hain jo har saal bhad aati hain, pani ki vajah se puri desh ki halat karab ho jati hain aur jaha tak janawaron ki bat kare to muje nahi pata kitne logon ko ye pata hain ya nahi pata par patakon ki vajah se humare janwaron ko dar lagata hain to please festivals ko khushi se manayiye apne do pal aish ke liye nahi.
Main isme koi video links nahi dungi kyunki 12saal ka show hain tarak mehta ka ooltah chashmah to almost har saal unhone manaya hain to aap jaise hi search karoge to aapko episodes mil jayenge so please jake dekhiye hum sabka chahita show tarak mehta ka ooltah chashmah.
HASTE RAHIYE, HASATE RAHIYE.
Instagram: https://www.instagram.com/
Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/
batikentfiziktedavi
ReplyDelete.