Skip to main content

Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah

      Television industry ka ek bahot hi prasiddh comedy show hain. Ye 12 saal pahle shuru huwa tha, 28th july 2008 me SAB tv ke channel pe. Ye show ek housing society ke logo pe nirbhar hain, wo kaise rehte hain, kya hungama karte hain ispe aadharit hain, Us society ka nam hain Gokuldham Housing Society. Uss society me saare log kaise miljulkar rehate hain, waha ke log alag-alag prant aur dharm ke hain fir bhi ek pariwar ki tarah rehate hain. E dikhate hain ki yaha dharm-prant alag hote huye bhi yaha ke nivasi ek dusare ke har dukh aur mushkil ka kaise nivaran karte hain aur kaise madat karte hain. Iss show me vastavik jeevan ke har mushkil aur chunautee ka samana karne ki prerana di gayi hain. 
Taarak Mehta ka Ooltah Chashmah: Chalu Pandey Comes to Investigate ...
                         
Taarak Mehta (Writer) Age, Biography, Wife, Books & More ...      Ye show gujarati saptahik patrika ke column pe aadharit pradarshan kar rahe hain, aur ise Taarak Mehta nam ke natakakar ne likha hua hain aur abhi ye Asit Kumar Modi ke dwara SAB tv pe dikhaya ja raha hain. 

Govt could've handled the matter differently': 'Taarak Mehta Ka ...   
  Ye ek aisa show hain jo chote bachho se lekar bade bujurg bhi bahot hi pyar se dekhte (Yeh mera vyaktigat anubhav hain) aur mera manana e hain ki agar ek chote bachhe ko achha sanskar, sikh dena hain to ye show jarur dikhana chahiye. Isme har ek kiradar ka mahatwa alag alag hain, aur itne khubsuruti se dikhaya hain dekhne me maja aata hain.
    
 Iss show me sirf gyan ki batein nahi bal ki hasi ke tahake bhi hain, aap har ek drashya me itne tahake lagayenge ki aapka pura din taro taja rahega. Maja to humesha sab ke sath hi aata hain aur wo isme wo bakhubi dikhaya gaya hain, hum sabko ye show dekhana bahot hi achha lagta hain. Taarak Mehta Ka Ooltah Chashma Ke total 2953 episodes ho chuke hain, episode 01 se lekar 2953 tak har episode humare niji jeevan pe aadharit hai.
    Haste Raho India - Home | Facebook

                   Iske baad ki mere har ek article aise hi kuch episodes ke baare me hoga wo mere vyaktigat vicharon ke sath. 

Instagram: https://www.instagram.com/

Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur