Skip to main content

E-mail frauding in Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah- तारक मेहता का चश्मा में ई-मेल धोखाधड़ी

       Hum log abhi ek aise jamane me ji rahe hain jaha pe sirf technology, social media hi mayane rakhti hain, hum log puri tarah se technology par nirbhar hain. Jaise jaise technology me sudhar badta ja raha hain, log naye tarike ki techniques khoj rahe hain aur uspe puri tarah se nirbhar ho rahe hain aur vishwas bhi kar rahe hain. Iss vishwas ki wajah se kuch logo ne iska fayda utha rahe hain aur galat kam kar rahe hain jaise ki scams, email frauds, ladkiyon ke sath gandhi tarah se vyavahar etc... 
Technology ke sath e bhi bahot teji se bad rahe hain aur log iska shikar hote ja rahe hain. Aur isase taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me bhi dikhaya gaya hain.
   Bhide Received Mail:  https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/bhide-gets-an-email-1000036798?watch=true

        Aaj kal e-mail frauding itni teji se aur aasani se bad rahe hain ki isase baahar aana bhi mushkil hota jaa raha hain, sab logo ko amir banana hain, aage badana hain, jindagi ko aasan banana hain uske liye paisa chahiye par ek hi baar me agar wo bina mehnat ke mile to aur bhi achha par jaha pe jaldi se paisa aane ka hota hain vaha pe kuch galat hota hain jaise ye e-mail frauding ka kissa. 
Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me bhi dikhaya hain ye kaise hota hain, bahot hi aasani se hume ek mail aayega wo e daava karte hain ki wo kisi aur desh se hain, aur hume 1karod ka lottery lagi hain. Ab ek minute ke aap sochiye agar aapko 1karod ki lottery lagi hain to aap bhi khush hoge, wo lottery pane ke liya puri takat lagavoge.
 The Power Of Money: https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/the-power-of-money-1000037022?watch=true

      Hume e-mail mil gaya hum khushi se pagal honge kuch aur sochane ki kshamata kho baite honge, usi mail me likha hoga ki lottery ke paise humare account me transfer karne ki formalities katame karne unke account me hume kuch paise dalne honge. Wo hume 50,000/- se 1lakh tak puchenge, jaise unhone Taarak mehta ke ooltah chashmah me humare shikshak mahoday Aatmaram tukaram ko pucha tha. Wo ek shikshak the, samajadar the, par paison ke samane kahi na kahi samajadari kam nahi aati. Hum log karod ke chakkar me apni choti si kamayi, jama punji ko dav pe lagate hain. Yaha se hum unke jhal me phasate jayenge aur wo hume phasate. Wo fir se aapko bolenge ki kuch aur formalities ke liye paison ki jarurat hain to aap fir se unhe paise doge. Aise aap apna pura khata unpe lutaoge iss chahat me ki aapko 1karod milenge, par wo aapko paise denewale nahi, aapse lenewale lalachi, dhokebhaj log honge. Jaise TMKOC me bhide ji ke sath hua tha.
    https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/bhide-wants-loan-1000037018?watch=true

        Humko aakhir me pata bhi chal jayega ki humare sath dhoka huwa hain, hume phasaya gaya hain par tab tak wo dhokebaaz log nau do gyara ho gaye honge. Wo log itne chalak hote hain ki, apne hi aas pas ke alag alag shahar me baithake e karte hain tha ki, police bhi inko pakadana mushkil ho jaye, par dusri taraf hum log bhi ek galti kar baitate hain logo ki tane na sunane pade, kahi badnami na ho jaye, hum pe majak na bane iss soch me kisi ko nahi batate, police ko nahi batate aise hi chup baithake iss dhoke ko sehlete hain. Par hume himmat na haare, kisi aur ke baare me na soche turant police ki madat leni hogi, iske janakari ke liye please niche diye huye link open karke episodes dekhiye.
https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/gokuldham-comes-out-for-help-1000036803
             Aur ek mahatwapurna baat technology ke sath aage badana bahot achhi bat hain par uspe nirbhar rehna, use apne par havi hone dena khud ke liye khatarnak saabit ho sakta hain. Isiliye savadhan rahiye, aise kisi bhi dhoke me mat phasiye, agar kabhi bhi kuch bhi galat laga to police ki madat lijiye. jaise police aur gokuldham milkar iss sankat ka nivaran kiya tha waise himmat rakh ke sare sankat ke nivaran kijiye. Aur humesha haste rahiye aur apna show dekhte rahiye.
Lalach Buri Bala Hain: https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/problem-solved-1000036802



Instagram: https://www.instagram.com/

Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/



Comments

Popular posts from this blog

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur