Skip to main content

Covid-19 Effect on Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah - कोरोना वायरस का असर तारक मेहता का औल्ताह चश्मा पर

          Aisa koi vishay nahi jispe taarak mehta ka ooltha chashmah ke show me episodes na banaye ho, waise hi jis mahamari se hum log gujar rahe uspe bhi dyaan dena jaruri tha aur asit sir ne wo dikha diya.
   Corona virus ka prabhav sare duniya me chal raha hain, mana ki abhi thoda thoda hum aage bad rahe hain par kuch waqt pahle sab kam bandh the, sare office bandh the, sare industries bandh the, humara chahita show taarak mehta ka ooltah chashmah bandh tha, humara poora desh stagit huwa tha. Waise to sab logo ne soch liya tha ki e bahot jald katam ho jayega ya iske liye medical ka kuch madat mil jayega, abhi tak to kuch nahi hain par aasha nahi chodenge. Par iske baad hume iske sath hi jina hoga par puri savadhani ke sath. 

          
     March 25 se jo lockdown  chal raha tha wo shayad pure desh ke liye kafi mushkil samay tha, kyunki hum log bahar nahi ja sakte the, khulke ghum nahi sakte the, par ye jaruri tha abhi social distancing sab jagah chal raha hain pure desh aur duniya me hath milane ki jagah pe namaste kar rahe hai. Iss chij ko bhi taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me bahot hi achhe se dikhaya gaya hain. 
Hum logo ne dekha tha jo bhi iyyer bhai, mehta sahab , jethalal gada aur popatalal ke bich me jo bhi hua tha wo sirf dekhne ke liye nahi tha uss chij ko hume apne jeevan me bhi paalan karna padega. 
Niche videos ke link diye huye hain. Agar nahi dekha hain abhi tak to ek barr dekh lijiye.
                         https://youtu.be/3cqkO6zooxI
       Iss samay me hum logo ko ek bat ka dyan rakhana hoga ki, hum logo ko utne hi jarurat ki chijon ko lana hoga,  hum log jyada saman lake ghar bar dete hain par e nahi sochate ki jisko jarurat hain unko nahi milta. aur jitna ho sake utna chote vyapariyon ka madat kijiye. Iss mushkil gadi me sab ko sath me chalne me hi samajadari hain, Iss chij ka udhaharan hain, jo abdul bhai ke dukan me huwa tha sanitiser ke liye wo sirf usi mamale me nahi balki har chij me laagu hota hain. Jo sikh Jethalal ne diya tha wo bulana nahi chahiye. 
       Pura Episode: https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/gokuldham-takes-preventive-steps-against-coronavirus-1000037186
 
       Hume har samay apne swachhata ka khayal rakhna, har chij me savadhani baratana jaruri hain, hume apna ghar,society,ghar ke har chijon ko disinfect karna jaruri hain. Hume apni har jaruri chijon ko saaf rakhna jaruri hain.. jaise ki khane ki chije dokar istamal karna, e choti choti chije hum bhul jate hain par yahi abhi jaruri hain aur humesha yaad se palan karna hoga. Shayad hum logo ne dekha hain ek patient khasate huye aaya tha to gokuldham ke logo ne puri society ko swachha kiya tha, disinfect kiya tha, khud ko swachha rakha tha e jaruri bhi tha. Kyunki agar galati se bhi uss marij ke khasane ki wajah se kuch bhi infection chuta ho to wo kisi aur ke sehat par asar na pade. 
        Pura Episode:  https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/gokuldham-men-return-home-midway-1000037454

       Pura desh apne ghar pe bandh hain,jaise episode ke aakhari me bhi dikhaya gaya tha ki sab log apne ghar pe bandh the. Chahalta huwa gokuldham gumsum tha. Abdul bhai ki soda ki dukan bandh tha, jethalal apne param mitra se mil nahi pa rahe the, sodhi apne bhangara ka jalwa dikha nahi sakte. waise hi hum log apne doston se nahi mil sakte, apne kam par nahi ja sakte the, hum log char diwaron me bandh the aur e hum sabke liye jaruri tha aur abhi bhi hum logo savadhani rakhni padegi. 
     Iss sab me hum logo ko sath me rehana hoga aur savadhani baratani padegi tha ki hum log iss virus ki phailane chain thod sake.
  Tappu sena ne iss par ek bahot achha rap banaya to ek baar wo dekh lijiye, aur iska matlab samajke paalan bhi kijiyega.

                  Iss lockdown aur coronavirus ki vajah se saare shows ke shooting bandh hain aur isme humara chahita show bhi hain. Ek baar dekh lijiye iss par humare Asit Kumar Modi ji ne kya kaha hain.

           Hum log bahot udas the ki humara chahita show iss lockdown ki vajah se bandh tha par abhi khushi ki baat e hain ki apna chahita,pyara show puri savadhani ke sath vapas aaya hain aaj se matlab 22nd july se, humare gokuldham ka aur hum sabke khushi ka thala khul gaya hain. pehla naya episode dekha na, kaisa laga..?
Please nahi dekha hain to dekh lijiye aur comment me batana jarur ki kaisa laga. Aur sath me apna aur apne gharwalon ka khayal rakhna.
        https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/gokuldham--1000051307?watch=true
 
Gokuldham Unlocked 
   Ghar pe raho, Surakshit raho...  

       Kuch Jaruri chijon ka Hum Sabko Dyan Rakhana Hoga, Humare Chahite Kiradaron Ne Bahot Achhe se Dikhaya Hain. Ek Bar Dekh Le..., 



             





Instagram: https://www.instagram.com/

Facebook: https://www.facebook.com/Taarak-Mehta-ka-ooltah-chashma-blogs-112976617170014/                

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

CHAMPAKLAL GADA'S REEL LIFE- AMIT BHATT REAL LIFE

  Champakalal Jayantilal Gada:       Iss nam ko kahi suna hain?? Ya har din sunane aadat ho gayi hain ya shayad bina sune din nahi lagata aur ye hain pure desh ke chachaji champak chacha ke nam se jane jate hain humare chahiye show Tarak Mehta ka ooltah chashma me, Jethalal gada ji ke pitaji aur Tippendra gada ji ke pujya dadaji.    Ye kiradar me kuch khas baat to hain jinse har ek insan juda huwa hain, uss character ko itne bakhubi dikhaya ja raha hain ya wo itne achhe se nibha rahe hain jisase bade, bachhe sab log akarshit to ho rahe hain par inspired bhi bahot jyada hai. Champak chachaji ke vicharon ko apne jeevan me amal koshish kar rahe hain. Champak chacha pahle din se hi society me hungama kiya tha par tabhi se society ko ek achhe soch wale bujurg mile jo har member ko apne bachhe ki tarah pyar bhi karte hain aur dant bhi lagate hain kabhi kabhi unki chadi bhi uth jati hain.    Unka apne bete ke prati jo vyavahar hain wo shayad samajane ke liye pitaji wala najara chahiye, wo a

JETHALAL GADA REEL LIFE| DILIP JOSHI REAL LIFE

  Har abhineta ka jeevan sirf rangmanch se juda nahi hota, sirf tv ya camera se juda nahi hota unki khud ki jindagi hoti hain. Jisme wo log apni jindagi apne pariwar ke sath bitate hain. Shayad jyada waqt de nahi pate par sabko apne pariwar ke sath rehna aur time bitana achha lagta hai. Aur jaise aaj kal inn logo ki jindagi pure logon ke samne rakh di gayi hain, logo ko unke baare me janana achha lagta hain, unka struggle, unke habbits ke baare me janana achha lagta hain aur yaha to tarak Mehta ka ooltah chashma show ke abhinetawon ke baare me janana bahot hi achha lagta hai. Kyunki kahi logo ne yahi man liya hain ki wo koyi set nahi hain balki wo sach me society hain jisme ye saare log rehate hain aur apni jindagi jeete hain. To chaliye aaj janate hain ki uss show ke jethalal gada ke reel aur real life dono ke baare me... JETHALAL CHAMPAKALAL GADA:-       Tarak Mehta ka ooltah chashma e apne aap me hi ek alag show hain, aur usme Jethalal Champakalal Gada e kiradar bhi bahot mahatwapur

SHAILESH LODHA, TAARAK MEHTA- शैलेश लोढ़ा, तारक मेहता.

  Taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me har kiradar mahatwapurna hain par, jo taarak mehta ka kiradar hain wo kuch alag hain. Logo ne pasand bhi bahot kiya hain Unke bolne ka tarika, shayari, kavitayen, samajane ka tarika aur jo wo har episode ke aakhir me jo katam huye episode ki paribhasha dete aur aanewale episode ke liye darshako ka utsukatata badate hain wo dekhne me achha lagata hain.    Par uss kiradar nibhanewale ka asli naam hain  SHAILESH LODHA, E ek abhineta to hain par sath me kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Inka janma 8th November 1970 me rajastan me jodpur jilhe ke Marwar me ek marwadi pariwar me huwa tha. Jaise har abhineta ek vakt pe dori jindagi jeete hain waise hi iss kiradar ki apne niji jindagi me alag pehachan, jarurat aur pasand hain to chaliye unki dono jindagi ke baare me jan lete hain.  TAARAK MEHTA:       Tarak mehta ek mashahoor lekhak hain, badiya kavi hain, hasyakar hain, vyangakar hain. Apni jindagi ko bahot hi saralata jeenewale vyakti aur