Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2020

E-mail frauding in Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah- तारक मेहता का चश्मा में ई-मेल धोखाधड़ी

       Hum log abhi ek aise jamane me ji rahe hain jaha pe sirf technology, social media hi mayane rakhti hain, hum log puri tarah se technology par nirbhar hain. Jaise jaise technology me sudhar badta ja raha hain, log naye tarike ki techniques khoj rahe hain aur uspe puri tarah se nirbhar ho rahe hain aur vishwas bhi kar rahe hain. Iss vishwas ki wajah se kuch logo ne iska fayda utha rahe hain aur galat kam kar rahe hain jaise ki scams, email frauds, ladkiyon ke sath gandhi tarah se vyavahar etc...  Technology ke sath e bhi bahot teji se bad rahe hain aur log iska shikar hote ja rahe hain. Aur isase taarak mehta ka ooltah chashmah ke show me bhi dikhaya gaya hain.    Bhide Received Mail :   https://www.sonyliv.com/shows/taarak-mehta-ka-ooltah-chashmah-1700000084/bhide-gets-an-email-1000036798?watch=true         Aaj kal e-mail frauding itni teji se aur aasani se bad rahe hain ki isase baahar aana bhi mushkil hota jaa raha hain, sab logo ko amir banana hain, aage badana hain,

Covid-19 Effect on Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah - कोरोना वायरस का असर तारक मेहता का औल्ताह चश्मा पर

          Aisa koi vishay nahi jispe taarak mehta ka ooltha chashmah ke show me episodes na banaye ho, waise hi jis mahamari se hum log gujar rahe uspe bhi dyaan dena jaruri tha aur asit sir ne wo dikha diya.    Corona virus ka prabhav sare duniya me chal raha hain, mana ki abhi thoda thoda hum aage bad rahe hain par kuch waqt pahle sab kam bandh the, sare office bandh the, sare industries bandh the, humara chahita show taarak mehta ka ooltah chashmah bandh tha, humara poora desh stagit huwa tha. Waise to sab logo ne soch liya tha ki e bahot jald katam ho jayega ya iske liye medical ka kuch madat mil jayega, abhi tak to kuch nahi hain par aasha nahi chodenge. Par iske baad hume iske sath hi jina hoga par puri savadhani ke sath.                   March 25 se jo lockdown  chal raha tha wo shayad pure desh ke liye kafi mushkil samay tha, kyunki hum log bahar nahi ja sakte the, khulke ghum nahi sakte the, par ye jaruri tha abhi social distancing sab jagah chal raha hain pure desh au

Characters of Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah - तारक मेहता का उल्टा चश्मा के पात्र

           Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah ke 1st episode hum sabko yaad hoga, kaise har patra ka parichay karwana aur har patra ka mahatwa dikhate hain. Sabse pahle main ek bat bolna chahti hun 1st episode se aaj ke episode tak har episode ke anth me jaise hi shialesh lodha (Taarak Mehta) sir uss episode ke bare me aur aanewale episode ke baare me jo bolte hain wo muje bahot achha lagta hain, usme ek sikh hoti hain aur aage ki episode dekhne ki utsukata badti jati hain.                Abhi har patra ke baare me bat karne jao to sabse bada hungama karnewala gada pariwar, ek hungamedar dhamal gujarati pariwar hain, Jethalal Chapakalaal Gada (Dilip Joshi) : Jethalal Gada ek electronic dukan ka malik , khane ke shaukeen aur hungame ko sath me leke ghumnewale ek kush mijaaj vyaapari hain.    Daya Tappu ke papa Gada (Disha Vakani) : Tappu ke papa gada, matlab inke pati dev shri jethalal champakalal gada, Pati khane ke shaukeen to patni khana banana me mastery ki huyi hain. Daya bhabh

Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah

      Television industry ka ek bahot hi prasiddh comedy show hain. Ye 12 saal pahle shuru huwa tha, 28th july 2008 me SAB tv ke channel pe. Ye show ek housing society ke logo pe nirbhar hain, wo kaise rehte hain, kya hungama karte hain ispe aadharit hain, Us society ka nam hain Gokuldham Housing Society. Uss society me saare log kaise miljulkar rehate hain, waha ke log alag-alag prant aur dharm ke hain fir bhi ek pariwar ki tarah rehate hain. E dikhate hain ki yaha dharm-prant alag hote huye bhi yaha ke nivasi ek dusare ke har dukh aur mushkil ka kaise nivaran karte hain aur kaise madat karte hain. Iss show me vastavik jeevan ke har mushkil aur chunautee ka samana karne ki prerana di gayi hain.                                  Ye show gujarati saptahik patrika ke column pe aadharit pradarshan kar rahe hain, aur ise Taarak Mehta nam ke natakakar ne likha hua hain aur abhi ye Asit Kumar Modi ke dwara SAB tv pe dikhaya ja raha hain.         Ye ek aisa show hain jo chote bachho se