Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2020

NAVARATRI SPECIALS| HAPPY DUSSEHRA| VIJAYDASHAMI|

        Navaratri 9 dino tak mananewala pavitra aur dharmik tyohar hain. 9 din durga devi ke naam ka upavas karte hain, unka aaradhana karte hain, Pure dharmik vatavaran me mugda ho jate hain. Navaratri/Dussehra/Vijayadashami aise har rajya aur prant me alag alag tarike se manate hain.             Humare puran aur bujurgon ke hisab se pahle ke 3 din sabke ghar me aur har madiron me durga mata ki pooja aur aaradhana karte hain.            Baad ke 4,5 aur 6 ve din me lakshmi devi ji ka aaradhan aur pooja karte hain, tha ki dhan, sampatti aur samruddhi ka vaas humesha hum sabke sath apne ghar pe rahe.             Aakhir ke 7,8 aur 9 din me devi saraswati ka aaradhana aur pooja karte hain, tha ki sabke jeevan me vidya aur buddhi ki jarurat hain jo ki jeevan me saphalata paane ke liye bnahot hi jaruri hain.    Dussehra In South India- दक्षिण भारत में दशहरा        jaise maine kaha tha ki humare desh me har jagah, prant me alag alag tarike se dussehra manatae hain to jaha pe mera stayi sthan

RAPE CASES| LADKIYON KI RAKSHA| HATHRAS RAPE CASE|

        Kya likhu main, kya bayan karu main, e kahun ki ladkiya usi desh me surakshit nahi uss desh ko bharatmata ke rup me dekha jata hain, ya e kahun ki inn darindo ki vajah se ladkiyon ki astitwa mithane lagi hain, sapne mithane lage hain to ijjat ko khule aam uchala ja raha hain. E kyu huwa ya kyun ho raha hain kisi ke pas bhi jawab nahi hain.       Jo bhi unn ladkiyon ke baare me soch raha hain ya dekh rha hain, aap sab log soch rahe ho unn par kya biti hogi wo kya feel kar rahe honge. Ladki Hun muje puchon aur wo sari ladkiyan apne aap me jake dekho ki kabhi mehsus kiya hoga ki koyi gandi najar se dekhta bhi hain to lagta hain ki humara astitwa hi nahi hain, koi gandi tarike chuta bhi hain to lagta hain ki jan nikal gayi hain. Jab gandi najar aur chune se humari halat karab hoti hain to balatkar pe kya ho sakta hain. Rape ka nam sunate hi ladkiyonki ruh kapati hain, unki sanse rukh jati hain.  Un darindo ke do minute ke maje ke liye humari zindagi kyu katam ho hati hain, kisi ke